Thursday, September 24, 2009

kisi roz..........

Dard kya hota ha btayenge kisi rooz,
Kamal ki ghazal tum ko sunaige kisi rooz,

Thi unki zid k main jaon un ko mnanay,
mujko ye weham tha wo bulaingey kisi rooz,

Us rab ki qasam me ne to socha bi nai tha,
Wo itna meray dil ko dukhaingey kisi rooz,

Har rooz aainay se yehi puchta ho main,
Kya rukhsar pe tabassum bi sajainey kisi rooz,

Urnay do in parindoon ko Azaad fiza me sahil
Tumharay hongay to loat hi aingey kisi rooz.......

Aadat

Uski adat wohi hr bat adhori karna,
or phir bat ka mafhum badalte rehna,

Aag se sikh lia hia ya tareka hum ny,
bujh bhi jana to bri dair sulagte rehna,

Jany kis umar me jaigi adat apni,
ruthna us se to ouro sy uljhty rehna

Fansle

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka